Tujhe bhoolne ki koshish mein,
Jab dil ye zid pe aagaya ,
Main aankh moond ke baithgaya ,
Tu khayaal pe phir chaa gayi…
Ye dhadkan kahin ruk jaaye naa,
Meri nabz Thehar naa jaaye kahin,
Tune Waqt kiya mera lamha lamha,
Magar maut ko aasaan bana gayi…
Meri har daleel ko kiya ansuni,
Meri fariyaad bhi to suni nahin,
Main Hairaan hu, haan Kuch Pareshaan hu,
Aisa Faislaa tu mujhe suna gayi…
Mujhe Chaand ki kabhi talab na thi,
Mujhe Suraj ki bhi fikar nahi,
Bas aankh kholna hi chahte the hum,
Magar Tu Roshni hi bujha gayi…
Beshak bhoolna tujhe chaha bahut,
Hans kar kabhi, Ro kar kabhi,
De kar ye Aansuon ki saugaat mujhe,
Tu daaman apna bacha gayi ................
Jab dil ye zid pe aa
Main aankh moond ke baith
Tu khayaal pe phir chaa gayi…
Ye dhadkan kahin ruk jaaye naa,
Meri nabz Thehar naa jaaye kahin,
Tune Waqt kiya mera lamha lamha,
Magar maut ko aasaan bana gayi…
Meri har daleel ko kiya ansuni,
Meri fariyaad bhi to suni nahin,
Main Hairaan hu, haan Kuch Pareshaan hu,
Aisa Faislaa tu mujhe suna gayi…
Mujhe Chaand ki kabhi talab na thi,
Mujhe Suraj ki bhi fikar nahi,
Bas aankh kholna hi chahte the hum,
Magar Tu Roshni hi bujha gayi…
Beshak bhoolna tujhe chaha bahut,
Hans kar kabhi, Ro kar kabhi,
De kar ye Aansuon ki saugaat mujhe,
Tu daaman apna bacha gayi ................
No comments:
Post a Comment