Har arzoo anjaam tak pahunche yeh zaroori to nahi hota aur iska matlab yeh bhi nahi ke hum halaaton ko apna dushman bana baithain, in ankhon ko to sapne dekhne ki aadat si ho gayi hai, isme sapne dekhne wale ka kasoor bhi to nahi, yeh pehla pyaar cheez hi aisi hai na to anjaam tak pahunchata hai aur na ankhon main base sapnon ko bhigoe bin rehta hai......
Aaj bhi wohi kitaab khol ke baith jata hoon main,
Jin Pannon per tune kai baar mera naam likh diya tha,
Har koi janta tha har kisi ko, Bahut chota sa sheher tha wo,
Ghoomte ghoomte kidhar nikal gaya, najane konsa peher tha wo,
Pehchanta tha har gali, mod, chauraahe ko yoon to main magar,
Meri lakeeron ne mere khilaf koi aur hi mukaam likh diya tha,
Aaj bhi wohi kitaab khol ke baith jata hoon main,
Jin Pannon per tune kai baar mera naam likh diya tha,
Samandar ke kinare ghoomta, phir bhi mann kinaron ko dhoondhay,
Pani ke chinte chehre per, jaise patton pe padti os ki boondyain,
Pehle to kabhi thami si lehron ko tsunami bante na dekha tha magar,
Ufanti lehron ne apne Jazbaton ka dariya tammam likh diya tha,
Aaj bhi wohi kitaab khol ke baith jata hoon main,
Jin Pannon per tune kai baar mera naam likh diya tha,
Abaad se gharon se khilkhilati hansi ki awaazain door tak jaati,
Gun-gunati Zindagi aaine main dekh khud ko savaarti nihaarti,
Ghar ki neenv ka pakka hone ka yakeen to bahut tha magar,
Iradon ne mann ki kacchi deewaron pe Nakaam likh diya tha,
Aaj bhi wohi kitaab khol ke baith jata hoon main,
Jin Pannon per tune kai baar mera naam likh diya tha,
Gehma gehmi rehti thi bazaar main bhi har cheez bikti thi,
Sadakon par ghoomti Chamakti ankhain roshni se bhari dikhti thi
Malum na tha ki pyar, waffain bhi hongi is bazaar main magar,
Ek bechari Izzat ke niche kisi ne nilaam likh diya tha,
Aaj bhi wohi kitaab khol ke baith jata hoon main,
Jin Pannon per tune kai baar mera naam likh diya tha,
Woh Safed pannon pe mehez kaali sihaii ki lakerain to na thi,
Woh tera sheher,ghar,bazaar,samandar ki lehrain mehez to na thi,
Mera naam to beh gaya tha ankh se tapake un ansuoon se magar,
Raha wahan naam tera jo maine apne naam ke aage likh diya tha,
Aaj bhi wohi kitaab khol ke baith jata hoon main,
Jin Pannon per tune kai baar mera naam likh diya tha,
Tuesday, May 6, 2008
~~~ Ek Adhoora Naam ~~~
Posted by
Luckky
at
5:48 AM
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment