Saturday, March 1, 2008

tum na hote to kya hota?

tum na hote to kya hota?
na ye ankhen roti na ye dil rota.

tum na hote to kya hota?
na ye sans hoti ye jism bejan hota.

tum na hote to kya hota?
na koi manzil na koi armaan hota.

tum na hote to kya hota?
na haseen pal na suhana waqt hota.

tum na hote to kya hota?
main mohabbat se anjan nadan hota.

tum na hote to kya hota?
tumko pane ka haseen khawab na hota.

tum na hote to kya hota?
ye bhawra har kali main badnaam hota.

tum na hote to kya hota?
na ye kalam hoti na ye khayal hota...........

No comments: